jidhar jatay hain sab, idhar jana acha nahi lagta - Deep Poetry in Urdu

Poetry is an art and a way of revealing our true feelings and telling untold stories.

Saturday, August 14, 2021

jidhar jatay hain sab, idhar jana acha nahi lagta

 Ghazal

Sad Poetry


جدھر جاتے ہیں سب ،ادھر جانا اچھا نہیں لگتا

مجھے پامال رستوں کا سفر اچھا نہیں لگتا

غلط باتوں کو خاموشی سے سننا حامی بھر لینا

بہت ہیں  فائدے اس میں مگر اچھا نہیں لگتا

مجھے دشمن سے بھی خودداری کی امید رہتی ہے

کسی کا بھی ہو سر، قدموں میں سر  اچھا نہیں لگتا

بلندی پر انہیں مٹی کی خوشبو تک نہیں آتی

یہ وہ شاخیں  ہیں جن کو اب شجر اچھا نہیں لگتا

اور یہ بھی کیوں باقی رہے ،آتش زنوں  یہ بھی جلا ڈالو

کہ سب  بے گھر ہو، اور میرا ہو گھر اچھا نہیں لگتا

 

jidhar jatay hain sab, idhar jana acha nahi lagta
mujhe pamaal rustoon ka safar acha nahi lagta
ghalat baton ko khamoshi se sunna haami bhar lena
bohat hain faiday is mein magar acha nahi lagta
mujhe dushman se bhi khuddari ki umeed rehti hai
kisi ka bhi ho sir, qadmon mein sir acha nahi lagta
bulandi par inhen matti ki khushbu tak nahi aati
yeh woh shaakhen hain jin ko ab shajar acha nahi lagta
aur yeh bhi kyun baqi rahay, aatish znon yeh bhi jala daalo
ke sab be ghar ho, aur mera ho ghar acha nahi lagta

Poetry YouTube Channel link:

2 comments: