دہکتی آگ کے شعلوں پہ سویا، وہ حسین
جوان بیٹے کی میت پر نہ رویا، وہ حسین
جس نے سب کچھ کھو کے کچھ نہ کھویا، وہ حسین
مرتبہ اسلام کا جس نے دوبالا کر دیا
خون نے جس کے دو عالم میں اجالا کر دیا
جو کہ سوزے غم کو سانچے میں خوشی کے ڈھال کے
مسکرایا موت کی آنکھوں میں آنکھیں ڈال کے
!...اے حسین ابن علی تم پر سلام
Dehakti
aag ke shulon pay soya, woh Hussain
Jawan betay ki maiyat par nah roya, woh Hussain
Jis ne sab kuch kho ke kuch nah khoya, woh Hussain
Martaba islam ka jis ne dobala kar diya
Khoon ne jis ke do aalam mein ujala kar diya
Jo ke soz-e- gham ko sanchay mein khushi ke dhaal ke
Muskuraya mout ki aankhon mein ankhen daal ke
Ae Hussain Ibn Ali tum par salam…!
No comments:
Post a Comment