Deep Poetry in Urdu

Deep Poetry in Urdu

Poetry is an art and a way of revealing our true feelings and telling untold stories.

Breaking

Sunday, November 28, 2021

Samadar sare sharab hote to socho kitne fasad hote?

November 28, 2021 0
Samadar sare sharab hote to socho kitne fasad hote?

deeppoetryinurdu009.blogspot.com

 Samadar sare sharab hote to socho kitne fasad hote?
Ghunah na hote, sawab hote to socho kitne fasad hote?

Kisi k Dil mein kya chupa hai, bus Khuda hi to janta hai 
        Dil agar benaqab hote to
        Socho kitne fasad hote?

Thi khamosh fitrat hamari, Jo kuch barsoon nibha gae hain 
        Hamare monh me jawab hote to
        Socho kitne fasad hote?

Hum achey they par sada in ki nazar mein bure rahe 
Hum Jo such mein kharab hote, to socho kitne fasad hote?


Dukh de kar sawal karte ho...

November 28, 2021 0
Dukh de kar sawal karte ho...

deeppoetryinurdu009.blogspot.com

 Dukh de kar sawal karte ho... 

Tum bhi ghalib kamal karte ho...

Dekh kar puch liya haal mera,

Chalo kuch mera khayal karte ho...

Shehr Dil mein yeh udasiyan kysien,

Yeh bhi mujh se sawal karte ho...

Marna chahe to mar nhi sakte,

Tum bhi jeena mahal karte ho...

Ab kis kis ki misaal doon tum ko,

Har sitam bemisal karte ho...

Monday, November 15, 2021

Masroof thy sab apni Zindagi ki uljhanoon mein

November 15, 2021 0
Masroof thy sab apni Zindagi ki uljhanoon mein


 Masroof thy sab apni Zindagi ki uljhanoon mein 

Zara si zameen kya hili, sab ko Khuda Yaad aa gya


Everyone was busy in the confusion of their lives

What a little earthquake, everyone remembered God

Wednesday, November 10, 2021

Tu aas hain maindy jeewan di

November 10, 2021 0
Tu aas hain maindy jeewan di

 

Punjabi Poetry

deeppoetryinurdu009.blogspot.com

Tu aas hain maindy jeewan di

Na aas muqaein, mein mar waisan


Rakhein apney pyar di nazaran wich

Na aakh partaein, mein mar waisan 


Tedey hath wich meida hath rahwey 

Na hath churwaein, mein mar waisan


Tedey nal gareeb da dil larieya 

Na dil badlaein, mein mar waisan 


Saturday, October 30, 2021

Best Poetry on Mother ❤️

October 30, 2021 0
Best Poetry on Mother ❤️

 

deeppoetryinurdu009.blogspot.com

Sahat raston mein bhi aasan safar lagta hai

Yeh meri Maa ki duaon Ka asar lagta hai

deeppoetryinurdu009.blogspot.com

Zindagi ke Safar mein, gurdishoon ki dhul mein 

Jab koi saya nhi milta to yaad aati hai Maa



deeppoetryinurdu009.blogspot.com

Aye raat mujhey Maa ki tarha guod mein ly ly

Din bhar ki mushaqat se badan toot raha hai 


deeppoetryinurdu009.blogspot.com

Aaina dekh kar khush hain meri aankhein be-had 

Mere chehrey mein meri Maa ki mushahbat bhi hai 


deeppoetryinurdu009.blogspot.com

Door rehti hain sada in se balaein Sahil 

Apney Maa Baap ki jo roz dua lyte hain


deeppoetryinurdu009.blogspot.com

Samandar aankh mein rakh kar mein bethi soch rhi hoon k

Jab Maa nhi rehti to dukh kis ko baatey hain 


Poetry yt channel link:

                    Poetry Shoetry

Best Poetry on Mother ❤️

October 30, 2021 0
Best Poetry on Mother ❤️

❤️Mother ❤️

deeppoetryinurdu009.blogspot.com

 Kisi key hisey mein ghar, kisi key hisey mein dukaan i

Mein ghar mein chota tha sab se, mere hisey mein Maa i.

deeppoetryinurdu009.blogspot.com


Meiney kal shab chahatoon ki sab kitabein phar dien 
Sirf aik kagaz pe likha lafz Maa rehney dia. 

deeppoetryinurdu009.blogspot.com


Aik mudat se meri Maa nhi soyi 
                     Tabish 
Mein ney aik baar kaha tha mujhey far lagta hai.

deeppoetryinurdu009.blogspot.com

Chalti phirti hui aankhon se aazan dekhi hai 
Meiney janat to nhi dekhi hai, Maa dekhi hai.

deeppoetryinurdu009.blogspot.com

Rook leyta hai balaoon ko wo  apney uper
Maa ka aanchal mujhey Jibril Ka par lagta hai.

deeppoetryinurdu009.blogspot.com

Usi k naam se thi ibtada e khush khati
Lafz jitne mein ney likhey, sab se behtar Maa likha.

Poetry yt channel link:

Sad Quotes on life

October 30, 2021 0
Sad Quotes on life

deeppoetryinurdu009.blogspot.com

 Khushi Ka waqat bhi guzar Jaya hai 

Dukh ki ghari bhi, lekin

Apka istamal ki gya ho 

Ap ko dhokha diya gya ho 

Is taqleef se niklney mein zamaney lagte hain

English Translation:

The time of happiness has also passed,

 also the time of deep sorrow, but 

You have been used 

You have been deceived

 It takes time to get out of this predicament



Agar duniya ke tamam nabinaon ko

aankhein Dy dein jaen to 

Phir bhi do nabina reh jaen gy 

Aik tum 

Jisey meri mohabbat nazar nhi aati 

aur aik main 

Key jisey tumhare siwa kuch nazar nhi aata.


Zindagi mili thi Rab ki ibadat karney k liye

Par waqat guzar Raha hai kagaz k tukre kamaney k liye
Na kafan mein jaib hai, na kabar mein almari 
Aur Kamal ki baat to yeh hai k mout Ka farishta bhi rishwat nhi lyta 
Socho... socho...socho...socho...

English Translation:

Got life to worship the Lord 
But time is passing to earn pieces of paper 
There is no pocket in the shroud, nor is there a cupboard in the grave 
But the amazing thing is that even the angel of death does not take bribe. 
think...think ...think...think...

Monday, October 25, 2021

Agar koi haqeqat mein mar jae

October 25, 2021 0
Agar koi haqeqat mein mar jae

deeppoetryinurdu009.blogspot.com

 Agar koi haqeqat mein mar jae

To roney wala aik hajoom hota hai

Lekin agar banda Apne hi andar khud mar jae to maiyat bhi us ki aur roney wala bhi wo tanha


If someone dies in reality, So the whole crowd is there to cry

But if the man dies inside himself then the death is also of him and the one who is crying is also lonely


Poetry yt channel link:

Poetry Shoetry